Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
Rehne de aasma zameen ki talash kar, sb kuch yahin hai na kahin aur talash kar. Har arzu puri ho to jeene ka kya maza, jeene k liye bus 1 kami ki talash kar.
Naksh Kuch Mitte Rahe Kuch Sooratein Banti Raheen, Ranj Ki Beshi Kabhie Se Raahatein Banti Raheen, Mera Sarmaayaa Umeedon Ke Sivaa Kuch Bhi Na Thaa, Kuch To Yaadein Ban Gayeen Kuch Hasratein Banti Raheen
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?