Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon, Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon, mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin, Hosh jab hadh se guzarti hai to pee letaa hoon!!
Tum ho gham ko chupaye, mai hu sarr ko jhukaye, tum bhi chupp ho, mai bhi chupp hu, Kaun kiss se samjhaye, Ab duniya itni hai toh milna yaha kal ho na ho…
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega