Wo samundar nahi

Wo samundar nahi
Wo samundar nahi aansu the humare,jis par wo naao chalate rahe,manzil mil jaye unko duwa thi humari,isliye hum aansu bahate rahE
  

Jan, 25 2012     128 chars (1 sms)     1194 views       Shayari > Sad Shayari

more Sad Shayari SMS Messages

Unke liye jab humne Bhatakna chhod diya,yaad me unki jab Tadapna chhod diya,wo Roye bahut aakar tab hamare paas,jab hamare Dil ne Dhadkna chhod diya.
Ye gazlo ki Duniya Bi Ajib hai,Yaha Aansu ka bhi jam banaya jata Hai, Keh bhi Dete Agar Dard-e-dastan,phir bhi Wah Wah Sunaya Jata hai..
sare sapne tod ke baithe hai sare armman chod kar baithe hai na kijiye humse waffa ki baat abhi dil ke tukdhe jod kar baithe hai .
Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad,ya muje khud he veham sa ho gaya ha shayad,maine pocha k bhul gaye ho tum bhi? ponch kar aansu mujse kaha......shayad.
Unse dur jaane ka irada na tha, sada saath rehne ka bhi waada na tha, woh yaad na karenge ye jante the hum, par itni jaldi bhul jayenge ye andaza na tha.
Pyar ka ajib sila dia hai usne, Meri tanhaiyo me muji ko rula dia hai usne, Kehti thi meri jaan hai ,Aaj usi jaan ko bhula dia hai usne
Rishta Banao To Dhoka Mat Dena, Kisi Ko Ansoo Ka Tohfa Mat Dena, Dil Se Roye Koi Tumhe Yaad Karke Esa Kisi Ko Tum Moka Mat Dena......
Unhe aadat hai zakham dene ki. Apni toh fitrat hai gum chupane ki, ab toh aadat si pad gayi hai aasu pi jane ki, kya haseen saza di hai zaalim ne dosti rakhne ki…
Itna Na Tadpao Ke Sochte Reh Jaye Itna B Na Satao K Rote Reh Jaye Zindgi Se Badh K Chaha Hai Tumko U DiL Na Dukhao K Sanse Rukte-2 Ruk Jaaye
Mujhko parkhne ka nateeja kya nikla Zakhm e dil nazron se bhi gehra nikla Tod ke dekh hi liya tune aaina mere dil ka Bataa teri soorat k siva kya nikla.....
Chandni raato me saara jaha sota hai.Kisiki yaado me koi badnasib rota hai.KHUDA kisi ko mohabbat pe fida na kare,agar kare toh qayamat tak juda na kare.
Hum Vo Ishq Hai Jo Dil Bankar Dhadakte Hai Hum Vo Khushboo Hai Jo Bahon Me Mehekte Hai Humse Pyaar Na Karna Aye Zalim Hum Vo Dard Hai Jo Aankhon Se Chalakte Hai.