toota hai dil kuch is tarah ki, jore na jur sakega ab khai hai chot aisi ki, marham koi na rakh payega ab dein kisi ko dosh hum, ye apni aadat nahi kismat he apni aisii hai, kisi sey bhi gila nahi jaante theh mil jaaye khushian, aisi apni kismat
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahi, lekin ye mat samajhna ki hume kisi se pyaar nahi, kismat ne sab kuch diya hume, sirf diya hamara woh yaar nahi.
Woh pal aisa tha ki inkar na kar paaye,Duniya ke dar se ikrar na kar paaye... Na thi zindagi jiske bina mumkin,Usne chod diya aur hum sawal na kar paaye.
Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..