Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum par ankho mein namisi thi, sath hamare ye Jahan tha sara,par Na jane kyun kisi ki kami si Thi
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi, Kaise keh du aaj fir hosh nahi. Aisa duba teri aakho ki gehrai main, Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Jab hum tanha ho to sath rehna,Roye ankhe to ansu poch lena,kyuki jinda hai jab tak hi satayenge,wada karte hai marne ke baad to aapko yaad bhi na ayenge!
Kaha koi aisa mila jispar duniya luta dete,Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,Apne dilka zakhm dilme hi dabaye rakha,Karte bayan to mehfil ko rula dete.