Rehne de aasma zameen ki talash kar, sb kuch yahin hai na kahin aur talash kar. Har arzu puri ho to jeene ka kya maza, jeene k liye bus 1 kami ki talash kar.
Chal padi hai kashtiyaan samandar dur hai kinara Inn maajoon se puch lena kya haal hai hamara Ab hawaein karengi roshiniyon ka faisla Jis diye main jaan hogi woh diya reh jayega
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai