Tu kahin bhi rahe sar per tere ilzaam tho hai, Tere haathon ki lekiroohon per mera naam tho hai, Mujh ko tho aapna bana ya na bana,teri Khushi Tu zamane mei mere naam se badnaam tho hai,
Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Kitni jaldi ye raat guzar jaati hai, pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai, apni yaado se keh do ki yu hame sataya na kare, neend aati nahi aur raat guzar jaati hai..