Begano se dosti ki gunjaish nahi hoti maut ke baad baki koi khawaish nahi hoti shayad koi pyar bhara dil tuta hoga warna april ke mahine me baris nahi hoti.
Wo muzh se pooch raha tha batao kaisa laga, Tum peechle zakhm ko chodo,Yeh ghao kaisa laga... Ajab sawal kyia andhiyon ne patton se, Shajar se toot ke Girna batao kaisa Laga
Kadam Kadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya, Pada Jab Wakt To Apno Ne Sath Chod Diya. Kasam Kaii Thi Is Sitaron Ne, Sath Dene Ki , Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya.
Us sikandar ka sikwa koi kya kare,chahat nahi hume apni to uski chahat kya kare,dosh nahi lehro ka dosh nahi tufan ka, kastiya ho bewafa to manjil hi kya kare..