Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage, Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa, Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha, Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.
Labon Pe Tabassum Tho Aankhon Mein Paani Yahi Hai Yahi Diljalon Ki Nishani Bathaoo Main Kya Aansoon Ki Haqeeqat Jo Samjho Tho Sab Kuch Na Samjhe Tho Paani
Dhalti shaam ka khula ehsaas hai, mere dil mein teri jagah kuchh khaas hai, tu nahin hai yahan maloom hai mujhe, par dil keta hai tu yahin mere paas hai.