Na hai koi khuda jinpe hum aitbaar kar sake, Na hai koi wafa jinpe hum jaan luta sake, Ye to in hasino ke aangan ke phool hain bas, Jinke kaante hi itne hai, ke koi dil hi na laga sake."
Har aansu lete hain bus tera hi naam.. Har aansu dete hain sirf yahi paigaam… Ke har aansu mein basi hain teri yaadein tamaam…. To aaj khaate hain inhi aansuon ki kasam….. Ke ab har aansu karenge saanson ka kaam
Ek din lehron k phool bhi murjha jayenge, Had se bhi zyaada hum tumhe yaad aayenge. Ehesaas hoga jab tumhe mere pyaar ka, Hum iss duniyan se door chale jaayenge