Jakhm jab mere sine me bhar jayenge, ansu bhi moti bankar bikhar jayenge, ye mat puchna kis kis ne dhoka diya, varna kuch apno ke bhi chehere utar jayenge.
Na jeene ki khushi na marne ka gAm,gAm hai toh unse na milne ka gAm,jeete hain iss aas pe kbhi woh hmare kehlayenge,mrte isliye nehi k woh akele reh jayenge.
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya
Kehte hai gam baatne se hota hai kam, aisa hi kabhi pele maante the hum, tere pyar ki nishani tera gam hi to mere paas, wo bhi baat du to rahega kya mere paas
MOHABBAT KA AJEEB KAROBAAR HUM NE KIYA,....WOH BEWAFA SEHI MAGAR PYAAR HUM NE KIYA WOH CHOR GAYEA TO MAT KEHO BURA US KO,...QASOOR USKA NAHE "AITEBAAR" HUM NE KIYA!
Tanha Chod Kar Humko Hosla Bhi Dete Ho,Saans Cheen Kar Jeene Ki Dua Bhi Dete Ho,Ek Taraf Judai Ka Ghum Bhi Jari Hai,Aur Muskurane Ka Mashwara Bhi Dete HO.
Motiyon mein piroyi hui sapno ko tut te dekha Maut ko bhi maine kaphi nazdeek se dekha Apne ko aaj maine beganaa hote dekha Mehboob ko bhi pal mein bewafaa bante dekha