Ankhen apki ho, par ansu mere Zindagi apki ho, par sanse meri Dil apka ho, par dharkan meri Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi Kafan apka ho, aur maut meri.
Har sham se unka izhaar kiya karte hai,Har khwab me unka didar kiya karte hai, Gulam hi to hai hum unke jo har waqt unke milne ka Intzaar kiya karte hai .
Hathon se gir gayi lakire kahi, bhool aaye hum apni takdiren kahi agar tumhe kahin mile toh utha lena mere hisse ki sari khushiya apne hathon me saja lena
Ek din lehron k phool bhi murjha jayenge, Had se bhi zyaada hum tumhe yaad aayenge. Ehesaas hoga jab tumhe mere pyaar ka, Hum iss duniyan se door chale jaayenge
Pal Pal Sanse Khatam Ho Rahi Hai,Zindgi Maut K Pehlu Me So Rahi Hai,Us Bewafa Se Na Puch Meri Maut Ki Wajah,Wo To Bus Zamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi hai.
Kya Faayda Hua hai Ab Intazaar Karke ? ? Gardish me aa gaye hai..Hum Tumse Pyar Karke.. Is Daur me Wafa ka ..Hum Karobaar Karke.... Sunnat nibha rahe hai..Dushman se Pyar Karke....
Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain.Yeh woh gunah hai jo hum bar bar karte hain.Log maut tak hi dilbar ki raah takte hain,Hum hai ki kabar mein tera intezaar karte hain...
Hum hawa nahi jo kho jayenge, Hum waqt nahi jo guzar jayenge. Hum mausam nahi jo badal jayenge, Hum to aasu hai jo khushi aur gum dono mein nazar aayenge.
SAPNA ye apni aankh me kaisa SANJO diya, kuch paane ki CHAH me sab kuch DUBO diya, logo ne kaha ILAAZ hai KHUDA k pass, mene ZAKHM dikhaya to KHUDA bhi RO diya