Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Sabko dost banane ki adat hai ham me, apani alag pehchan banane ki adat hai ham me, kitna bhi gehra jakaham de koi, utna hi jayada muskarane ki adat hai humme.
Ye Theek Hai Nahi Martaa Koi Judaai Me Khudaa Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Kare Sunaa Hai Usko Mohabbat Duuaayein Deti Hai Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gilaa Na Kare
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte, Apne deewano ko sataya nahi karte, Har waqt bas jise tumhara khyal ho, Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte……