Zindagi, Manjil, Waqt Kisi Ne Humara Saath Nahi Diya, Sab Par Se Puri Tarah Bharosa Uth Gaya. Is Duniya Se Ub Gaya Hai Ab Humara Jiya, Kisi Ko Kitna Hi Chaha Kam Reh Gaya.
Kisne meri kabar par aake diya jala diya Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya Chain se so raha tha main odhe kafan majar par Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Ek yahi aas he kafi hai mere jeene mein,Dil nahi aap dharakte ho mere seene mein,Tujh se jo zakham mile dil se laga leta hoon,Kitni Meethe lagte hai tere gum peene mein.
Manzil na pa sake to kya hosla to hai Saath nahi karwaan to kya rasta to hai Uthenge kadam phir se manzil ke taraf Koi nahi saath to kya, khud pe bharosa to hai
Din akele raat tanha kaat dee maine, Dosto main saari khushiya bant di maine, jeevan ki bhag daud me mujhko mila hi kya, paane ki ummid me zindagi kaat di maine.