Roothna mat hamein manana nahi aata Door mat jana hamein bulana nahi aata Tum bhool jao hamein tumhari marzi Hum kya karen hamein to bhulana bhi nahi aata
Us sikandar ka sikwa koi kya kare,chahat nahi hume apni to uski chahat kya kare,dosh nahi lehro ka dosh nahi tufan ka, kastiya ho bewafa to manjil hi kya kare..
kisi se pyar soch samajhkar nahi hota,har apna lagnewala humsafar nahi hota,tanhai katon ki tarah chubhti hai to kya hua,katon ko murjhane ka darr to nahi hota
Gam ke saye mein guzara hai jeevan humne, Apni palko ko aansuo se sajaya hai humne, Apni chahat ko kabhi pa na sake hum, Khud rokar dusro ko hasaya hai humne.
Tere ghar ke deepak mai jal raha hai mera wajood,bhul ke bhi na samjhna mujhe begana tum.mere paas kanto bhare gulaab ke siva kuch bhi nahi,usse bhul kar bhi seenay se na lagana tum.
Vada hamne kiya tha nibhane ke liye, ek dil diya tha ek dil pane ke liye, unhone mohabbat sikha di or kaha, hamne to mohabbat ki thi tumhe aazmane ke liye.