Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin
Mujhe Itna Pyar Mat Karo Ke Dunya Mein Mashhoor Ho Jaoun Dekho Tum Mujh Se Bewafayi Mat Karna Aisa Na Ho Ke Teri Bewafayi Mein Dunya Ko Chorne Ke Liye Majboor Ho Jaoun
Kuchh log aise hote hain jo pal bhar me paraya kar jatey hain Manzil ko dekhtey hi ek pal me rasta badal jatey hain Jate jate dil se woh kuchh is kadar khel ke jatey hain Jiski aag me hum umra bhar baas jaltey hi reh jatey hain..
Ab ke sawan mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Kashti bhi na badli , Dariya bhi na badla , Ham dubne walo ka jazba bhi na badla Hai Zok-e-Safar aisa ek umar se hame, Manzil bhi na pai or rasta bhi na badla