Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Fareb tha uski hasi me hum ashiqi samaj baithe,maut ko hum apni zindgi samaj baithe,waqt ka majak tha ya badnasibi meri,uski do bato ko hum chahat samaj baithe.
nazron se agar door hai to kia hua dharkan ki tarha dil k meray paas bohat hai wo raat ki tareeki main karta hai mujh se baat us ko meri tanhaai ka ehsaas bohat hai
Kisi ke liye ab ye aankhe num na karenge,Wo chale bhi jaye to gum na karenge,Ho gayi khataa kisi ko jaan se jyada chaha,Ab ye khataa dobaara hum na karenge.
Kuch adhure khwaab aankhon me saja kar so gaya Bant di khushiyan sabi me ashqon ko chupa kar so gaya Har koi meri hansi ko dekh kar hans leta hai Mai to patthar tha gamon ko bhi rula kar so gaya
Tum Idher Rukhsat Hue Jaan Idhar Nikli Meri Kaise Kaise Hadse Sadgi Se Ho Gye Kuch Hame Bhi Maut Ki Aarzu Thi Ishq Mein Raste Kuch Aasan Teri Be-Rukhi Se Ho Gye