kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Wo muzh se pooch raha tha batao kaisa laga, Tum peechle zakhm ko chodo,Yeh ghao kaisa laga... Ajab sawal kyia andhiyon ne patton se, Shajar se toot ke Girna batao kaisa Laga
Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain���
Tere siwa koi mere jazbaat mein nahi, aankhon mein wo nami hai jo barsat mein nahi, pane ki tujhe koshish bahut ki magar, shayad wo lakeer mere hath mein nahi
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Bedardi se apne dil par vaar na karna.
DARD ME KOI MAUSAM PYARA NAHIN HOTA, DIL HO PYASA TO PANI SE GUJARA NAHIN HOTA, DEKHE ZARA KOI BEBSI HAMARI, HUM UNKE HO GAYE JO HAMARA NAHIN HOTA.......