kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil
Tadap uthoge jab hum yaad aayenge,Dhoondoge hume jab hum durr chale jaayenge.Hamari yaadon ke nishan dil me paaoge,Jab tumhari dhadkano me chhup kar hum muskurayenge
Bas ek tamanna hai ki unse mulakat ho,bat unse aage badhe aur unka sath ho,kab tak hum yunhi ek dosre ko dekhte rahenge,kuch khamoshi tute aur izhar ka agaz ho.
Mumkin Ho Aapse To Bhula Dijiye Mujhe,Pathar Pe Hun Lakeer Mita Dijiye Mujhe,Har Roz Mujhse Taza Shikayet Hai Aapko,Main Kya Hun Ik Bar Bata Dijiye Mujhe.
'Chot lagi dil par aur bikhar gaye hum, haath mein aaya jaam aur pee gaye hum, yaad aaya unka har wo toda vaada, aur unki har yaad mein fanaa ho gaye hum'