Yeh din yeh raat yeh lamhay achay say lagtay hain.. Tumhain sochoon to saaray silsilay achay say lagtay hain… Bohat door tak chalna or phir bhi waheen rehna.. Humain tum say tum hi tak k Da-ayray achay say lagtay hain..
Tumari judai yadon ka izhar karti hai, tumari yaad bahut bekarar karti hai.. Wo din jo sath guzare the humne, talash unhi palon ki ye nazar bar bar karti hai
Unka waada hai ki woo laut ayenge, issi umeed par hum jiye jayenge, yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyaara hai, kar rahe the, kar rahe hai or kiye jayenge.
pyar kia to unki mohabat nazar ayi,dard hua hume to palke unki bhar ayi,2 dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.
Juda Mujse mera Pyr Ho N jaye, Zindgi kahi Dushvaar Ho N jaye.e Khuda1 izat rakhna Meri, khtam Na karna Ye zindgi, Jabtak mere Pyr ko mujhse pyr Ho Na Jaye.
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse, yeh aarzoo hai ki silsila rahe aapse, bas is baat ki badi umeed hai aapse, khafa na hona agar hum khafa rehein aapse