Mitha sa dard dil me utha tha abhi abhi, kya tumne mujhe yaad kiya tha abhi abhi, tumse mile hue gujar gaya hai zamana, par aisa laga jaise tum mile mujhe abhi abhi.
Maang kabhi ulfat main jaan b hum se Hum teri kisi baat ko taala nahi karte Tasdeeq jo karni ho to aa jao kisi sham Hum tere bina ghar main ujaala bhi nahi karte
nazre tumhe dekhna chahe to aankho ka kya kasurhar waqt khusbu teri aaye to saanso ka kya kasur waise to sapne puch kar nahi aatepar sapne hi tumhare aaye to raato ka kya kasur
Aap Har Manzil Ko Mushkil Samjhate Hai, Hum Har Mushkil Ko Manzil Samjhate Hai, Bada Fark Hai Aapke Or Humare Nazriye Mein, Aap Dil Ko Dard Or Hum Dard Ko Dil Samjhate Hai.
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
shail per khare khare shaam kar di, Apni dil aur duniya aap k naam kar di , ye bhi na socha kaise guzregi zindagi, Bina soche samjhe her khushi aap k naam kar di!