Kyon koi chah kar mohobbat nibha nhi pata, Kyon koi chah kar rishta bana nhi pata, Kyon leti hai zindagi aisi karwat, Ki koi chah kar bi pyar jata nahi pata..
Humein kya pata tha unka andaaz-e-byan itna haseen hoga Un ka aana paas hamare itna afreen hoga Yoon hi unse dil laga maikhaane mein shareek ho bethe they Humein kya pata tha vahan un ka mehfil-e-deedar hoga
E mere humdum, mere dost, mere yaar, tere se seekha hum ne karna zindagi se pyar jabse payee hai maine dosti teri, uss khuda ka shukriya kartay hain baar baar