Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya Kaanton se bhar dete hain log daaman Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya.....
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab aa ke le ja'o tum apna yeh damukta hua phool mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab
na nikalna aaj ke din kisi masjid ke paas se, kahi log chand samajhkar tumhe apna roza na tod de, aur hokar khafa khuda tumse, kahi husn banana na chod de..