Tham lay jo tu hath mera to sab sanwar jaye Thukra day jo mujhay tu to sab bikhar jaye Kehta hun tujhay ab kar lay tu bhe iqrar Kahin ye pagal teray iqrar say pehlay na guzar jaye
Mill jaye koi Naya to Hamein na Bhula dena Koi Rulaye Tumhein to Hamein Yaad kar lena Dost Rahange umar bhar Tumhare Tumhari Khushi na sahi Gham hi Baant lena
Tere husn ki tareef karu to tarana na ban jaye,Teri bewafai ka zikar karu to fasana na ban jaye, Mat ker logon mei itna zikr mera, kahin mera zikr, tujhe chedne ka bahana na ban jaye.
jee chaahta hai tumse pyari si baat ho, khaamosh taare aur lambi si raat ho, phir saari raat tumse hum kahte raheN, ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho!!