Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya, Jo pyar karne pe majboor na karde wo ikraar hi kya, Intezar to sab karte hai..... Saanse tootne tak jo saath na de wo yaar hi kya!
Konse Shabd Kya Ahesas pesh Karu,Zindagi Ki Kitab Ka Kon Sa Panna Pesh Karu, U To Kai Raaz Dafan He Seene Me;Kahiye Tute Hue Dil Ka Konsa Tukda Pesh Karu.
Juban ko bolne na de aur kayi kaam hai uske,Bhulkar sare jahan ko najar-najar milayein hum,Ek pal wo bhi aaye ki,khud ka khud pata na ho,Jannat ka aashiyan bana pahlu mein bikhar jayein hum.
Diwane hai ham tujhe bhi bana denge,Dil me teri pyar ki shama jala denge.Raho chahe jitne bhi pathar dil banke aap,par Yado Se apni tumko bhi rula denge..
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Youn hi tunhai main hum dil ko saza dete hain, naam likhte hain tera likh ker mita detey hain, yai soch ker rehne dia armaano ko dil main, mehman kabi gar se nikale nahi jate.