Aapko har waqt mujhe hi chahna hoga Hamare pyaar ko umar bhar nibhana hoga Is jahan ki baat chhodo Har janam mein tujhe mere liye lot kar aana hoga meri jaan.
Kisi roz koi khwab jaror aayega,zindagi me kya khoya ye dikhlayega,tum na samajhna khwab use,kyu ki a yaar ush khwab me tu mujhe tere bin Tanha payega.
zindagi itni jiyo jiski koi had na ho bharosa itna karo ki koi shaq na ho intazar aisa karo ki koi waqt na ho aur pyar aisa karo ki na mile to bhi nafrat na ho
Kabhi Kabhi Mohabbat Mein Judaai Bhi Aati Hai, Par Judaai Pyaar Ko Aur Bhi Gehra Bana Deti Hai, Do Pal Ki Judaai Mein Aansoo Na Bahaa Aye Dost, Judaai Ki Tadap Pyaar Ko Aur Pyaara Bana Deti Hai....
Royegi ye aankhe muskurane ke bad,Aayegi rat din dhal jane ke bad,Tum kabi na ruthna mujse ae YAAR,Sayad ye zindagi hi na ruth jaaye,Tumare ruth jane ke bad
Tumhe mai pyar kahun yaar kahun ya jane jana,Naam kuch bhi rahe tamana hai tumse mil jana,Jindagi rukati nahi kisike liye chhod apni raahein,Raah pal bhar ko badal kar meri raahein chamaka jana.