tanhai lay jati hain jahan tak yaad tumhari, wahin say shuru hoti hain zindagi hamari, nahin socha tha chahein gay hum tumhein iss kadar, per ab tau ban gayin haun tum kismat hamari.
ga saku aapka nagma, par woh saaz kaha se lau, suna saku kuch aapko, par woh andaz kaha se lau, yun to chaand ki tareef karna aasan hai, par kar sake to aapki tareef woh alfaaz kaha se lau.
Hum raat ki tanhai me tumhe awaaz diya karte hai, Aur sitaaron se aapka zikar kiya karte hai, Tum aao ya na aao, fir bhi Hum khwabo me aapka intezaar kiya karte hai.
Khoobsurat hai vo itna saha nahi jata kaise hum khud ko rok le raha nahi jata.chand me daag hai ye jante hai hum lekin raat bhar dekhe bina usko raha nahi jata