kyoon zindagi ki raah mein majboor ho gaye itne huye kareeb ke hum door ho gaye aisa naheen ke humko koi bhee khushi nahin lekin ye zindagi to koi zindagi nahin kyoon iske faisle hamen manzoor ho gaye paaya tumhe to humko laga tumko kho diya hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya palkon se khwaab kyoon gire kyoon choor ho gaye.....
Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta, iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta, tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.