kabhi kaha na kisise tere fasane ko, jane kaise khabar lag gayi zamane ko! Dua bahaar ki mangi to itni ful khile, Kahin jagah na mili mere aashiyane ko!!
zindagi itni jiyo jiski koi had na ho bharosa itna karo ki koi shaq na ho intazar aisa karo ki koi waqt na ho aur pyar aisa karo ki na mile to bhi nafrat na ho
Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya Maine samhja hai khud ko sada amanat teri, Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya