Aaj ki raat bahut khubsurat nazar ati ho, dur ho itni magar karib nazar ati ho, dekh kar khud ko tum khud se sharmaa jao, aisi tum chand ki chandni nazar ati ho
Humne apni ik duniya banai hai,Jis mein rehti main aur meri tanhayi hai,Us tanhayi mein baatein aur yaadein hain uski,Agar batadun sab ko to meri ruswai hai
Barishon k mausam main tumhain yaad karney ki adat purani hai ab ki baar socha hai adatain badal dalain phir khayal aya k.... adatain badalney se barishain nahin rukti....
Nigaho me aur koi pyaar ke kabil na raha,is kinare ka aur koi sahil na raha,chand jaisa yaar mila hume zameen par,asman ka chand bhi ab didar ke kabil na raha