tujh par khatm meri har chahat hogi, fir na kisi par ye inayat hogi, kuchh is tarah karenge hum mohabbat tujhko ke na zamane ko khabar hogi na zamane ko koi shikayat hogi.
Na tasveer hai uski jo didar kiya jaye, na vo hai pass jo pyar kiya jaye, ye kaisa dard diya hai us bedard ne, na usse kuch kaha jaye na us bin raha jaye
baat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai teri mahafil kabhi aisi to na thi le gayaa chhin ke kaun aaj meraa sabr-o-qarar beqaraari mere dil ko kabhi aisi to na thi
Ye raat itni tanha kyo hoti he sabko kismat se shikayat kyo hoti hai ye kismat bhi ajeeb khel khelti hai jise pana mushkil hota he mohabat usi se kyo hoti hai?