Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte, Apne deewano ko sataya nahi karte, Har waqt bas jise tumhara khyal ho, Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye, Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye, Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki, Afsaana likhoon aur aapka naam na aay
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
wo ek chehra hm hr khi tlash karte hai,zinda to hai mgr zindgi tlash krte hai,koi q bhool jata hai hame apna bana kr,humkhud me wo kami talash karte hai.
Benam sa yeh dard thahar kyun nahi jata,Jo dur hai dil se utar kyun nahi jata,Ek chehra jo barso se hai ajnabi,woh khwab hai toh phir bikhar kyun nahi jata.
jo rista kayam hai wo hum nibhayenge nigaho se dur rahkar bhi aapko chahenge pata nahi aapne kiske saath ghar basaaya par hum aapka naam lete lete mar jaayenge
Zindagi har waqt azmaish si hoti hai,apse milne ki khwaish si hoti hai.Mana k apko yad nahi karte,kyunki yad wo ate hai jinko bhulne ki gunjaish si hoti hai.