Benaam sa ye dard Q nahi jata,Jo beet gaya hai wo gujar Q nahi jata.Saans bina ruke dum nikal Q nahi jata,Jo muje ho gaya hai unse,Unhe mujse ho Q nahi jata
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, kaanon me gunjti shahnai si lagti hai, aap karib ho to apnapan hai, warna seene me saanse bhi parai si lagti hai
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Mere Aaneki Aahat pe shayad shama jalayi hogi Kabhi Judai ke Gamse Aankhe bhar aayi hogi Fikar na kar meri jaan Us rabne milneki koi na koi sham to banayi hogi