Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.
Na pine ka shok tha na pilane ka shok tha,hame to sirf najre milane ka shok tha,par kya kare ham nazre hi unse mila baithe,jine nazrose pilane ka shok tha
Unko khabar hai mere tute armano ki,aaj jarurat padegi kanch ke pemano ki.khali na hone dena jaam yaro, varna fir se yaad aa jayegi gujre huve jamane ki.
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum