Agr khush hai wo dekh k ansu meri ankho me, to khuda ki kasam hum muskurana hi chod denge. Tadapte rahenge use dekhne ko magar uski taraf palke uthana hi chod denge.
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah ..!! Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah ...!! Khushbu Ke kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khat ...!! Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah ...!!
Dekha jo woh jaam teri yaad aagayi...yeh shaam tere naam, teri yaad aagayi...Har koi Janata tha mujhe tere naam se...Pucha kisi ne naam, Teri yaad aagayi
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
Toote dil ko dobara lagana hamein accha nahin lagta Kissi ko palkoan pe bitha kar girana hamein accha nahin lagta Ek baar keh diya ki hum to sirf aapke hai lekin Baar baar humko yeh batana accha nahin lagta
Dil ne akhon se poochake tumne kisi aur ki mohabbat kiu churai thi.Akhon ne kha maine to unse nazar hi milayi thi,Mujhe kya pata tha vo chiz hi parai thi.
Sunte hai ki mil jati hai har cheez dua se Ik roz tujhe bhi mang kar dekhenge khuda se Duniya bhi mili hai ghame duniya bhi mila hai Woh kyun nahi milta jise manga tha khuda se