Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta, iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta chata hun tumhe aaj bhi par teri soch mein apna waqt bekar nahi karta, tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera islye apne dard ko bayan nahi karta
Tumne chaha hi nahin,warna halaat badal sakte the, Mere anshoo teri ankhon se nikal sakte the, Tum to thahre hi rahe jheel ke paani ki tarah, Dariya bante to door nikal sakte the.
Ishq ki bandishon mei tumsa nahi koi,aashiqi toh hai par tumko yeh pata nahi,bahut gumsum si ho gayi ho ek pukar se,tumhara khumar hai per kaho ki pata nahi.