Aaj ki raat bahut khubsurat nazar ati ho, dur ho itni magar karib nazar ati ho, dekh kar khud ko tum khud se sharmaa jao, aisi tum chand ki chandni nazar ati ho
Her khamoshi ka mutlab inkar nahi hoota.. Her nakami ka mutlab haar nahi hota.. To kia hua jo hum app ko pa na sakay.. Sirf panay ka mutlab to pyaar nahi hota...........
kuch tumhare ankho ki kajal ne kaha kuch tumhare julfo ki badalne kaha jo keh na saki tumhare khamosh honth hawa me lahrati hui tumhari aanchal ne kaha
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,Samne aate hi nazar jhukate hai woh,Baat karte nahi, ya hoti nahi,Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.
Raste par mat baitho hawa tang karegi, Gujare hue lamhon ki saja tang karegi, Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb, uske jane par uski har ek ada tang karegi.