Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke Khoob aati hai jab bhi aati hai, Yaad teri bahot sataati hai, Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n, Teri soorat ubhar ke aati hai
Tere husn ki tareef karu to tarana na ban jaye,Teri bewafai ka zikar karu to fasana na ban jaye, Mat ker logon mei itna zikr mera, kahin mera zikr, tujhe chedne ka bahana na ban jaye.
Tujhe dekhe bina teri tasveer bana sakta hoon, tujhe jane bina tera haal bata sakta hoon, hai meri mohabbat mein itna dum, apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon....
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera