Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
Ishq cheez hi aisi hai, daman chudaya nahi jaata Doob gaye hain pyaar mein itna, kuch chupaya nahi jaata Izhaar to karna chahte hain, par mohabbat jatayii nahi jaati Doori itni hai beech humare, ki chahat dikhayii nahi jaati
'Chot lagi dil par aur bikhar gaye hum, haath mein aaya jaam aur pee gaye hum, yaad aaya unka har wo toda vaada, aur unki har yaad mein fanaa ho gaye hum'
Kaash ye zalim judai na hoti... Rabba tune dil cheez banayi na hoti... Na hum unse milte aur na pyar hota... zindagi jo apni thi aaj parayi na hoti.....