Log kehte hain wo mujh se Juda rehta hai, Ban k dhadkan Jo mere dil main sada rehta hai, Yun meri zaat main shamil hai uski hasti, Jis tarah sare zamane main Khuda rehta hai.
Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.