Kis par dosh lagaye apni barbadi ka,pyar ki raho me hum khud bhi gunehgar hai,jo lamhe bitaye the sath milkar kabhi,aaj mere liye vahi lamhe yaadgar hai.
Kon tha apna kis pe inayat karte.Hamari to hasrat rahi tum bhi mohabat karte.Us ne samjha hi nahi mujhe kisi kabil.Warna us se pyar nahi us ki ibadat karte
KITNA HASEEN PHIR SE NAZAARA BANA DIYA,JAISE KHUDA NE TUM KO DOOBAARA BANA DIYA,AAYEA THA IMTIHAAN ME MAZMOON HUSN PAR,HUM NE PAPER PAR CHEHRA TUMHAARA BANA DIYA
Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.
Hone the khel muqaddar ke ho gaye,hum tuti nau leke samanddar ke ho gaye,khushbu mere haanth ko chhukar chali gai,hum phol sabko baant kar patthar ke ho gaye.