Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
uski yaad mein dekho hum kya karte hain bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla kehte hai ki ishq mein toh lut jana chahiye par jab yaar hi na mile toh kispe mita jaye
Jab koi khayal dilse takarata hai, dil na chahkar bhi khamosh reh jata hai, koi sab kuch kehkar pyar jatata hai, toh koi kuch na kehker bhi pyar nibhata hai
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho