Kisi k dil me basna bura to nahi,kisi ko dil me basana koi khata to nahi,gunah ho ye zamane ki nazar me to kya hua,zamane wale bhi to insan hai khuda to NAHI
Fir wahi fasaana afsaana sunati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho
chalo mohsin mohabat ki nae bunyad rakhte hain. ke khud paband rehty hain,usy azad rakhtay hain.hamary khoon main RAB ne ,yahi tasir rakhi hai.burai bhool jate hain achi yad rakhte hain.mohabat main kahin hum se gustakhi na ho jae.hum apna qadam us k qadam ke bad rakhte hain.
Hosh mein reh kar bhi madhoshi ka aalam rehta hai, Dil ke dariya mein tu na reh kar bhi samaya rehta hai, Kaun janta hai ki khushiyan kahan milti hai, KHUSHI ko agar dhundo to har mod par maut ke Suadagar milte hai