Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai,pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.
*Har pal pyar ka irada hai aapse* *apnapan hi kuch itna zyada hai aapse.* *Na sochenge sirf umar bhar k liye* *Qayamat tak sath nibhayenge ye wada hai aapse*
Gamo ko zindagi ka nam buzdilo ne diya hai,Humne to gamo ka samna khusi se kiya hai,Marte waqt b in hoto se hasi na jayegi,Ye vada humne zindgi se kiya hai.
Is raaz-e-mohabbat ko aam nahi kerna..Chahat k jaazbon ko badnaam nahi kerna..Tum jaan ho mere bas itna samjh lo.. mary in lafzoon ko nelaam nahi kerna.......