Kyon kisi se itna pyar ho jata hai, pal bhar ka intezar bhi dushwar ho jata hai, lagne lagte hai apne bhi paraye, aur ek ajnabi pe aitebaar ho jata hai.
Aankh khuli to phir khwaab chale gaye jii behlane ke saare bahaane chale gaye yaad rehta nahi kuch bhi yaad kiye bina yaadoN me khokar jeene ke sahare chale gaye
Zindan_e_Ishaq Mein Jo Griftaar Ho Gya Kisi Kaam ka Na Raha Bekaar Ho Gya Jiss rooz keh usey Mehboob ka Deedar Ho Gya Us din se Shuru Dobara Intazar Ho Gya
Din sara yaadon me guzar jata hai,Phir bhi raat ko aapka hi khayaal aata hai... Kuch yaadein is kadar ban jaati hain ki,Aaine me bhi chehra apka nazar aata hai
Khuda agar meri akhri khwahis puche to teri hasi manglu, Agar meri akhri dua puche to tere liye khushi manglu, Dubara janam de to pehle me tera pyar mang lu.
Kahan Koi mila jis per dunya Luta daita... Har ek ne dhoka dya kis kis ko bhula daita... Apne dil ka dard dil mai daba rakha hai... Agar kerte bayan tu mehfil Rula daita.......