Koi kehta hai mohobat zehar hoti hai, koi kehta hai mohobat kehar hoti hai,hum kehte hai jo tadpati rahi sada kinare k liye,mohobat ek aisi lehar hoti hai..
Har phool ki ajab kahani hai, chup rehna bhi pyar ki nishani hai, kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai, lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaaye ki, hum aapko yaad kare aur aapko khabar ho jaaye, Aaaj rab se yahi dua hai meri, Aap jo chahe wo aapko mil jaaye
yaado ki dhund me aapki parchai si lagti hai sannate me gunjti shehnai si lagti hai aap saath ho to duniya jannat hai warna seene me saans bhi parai si lagti hai
dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete, lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete, zuban humari himmat na kar payi, lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete