Wo kahin b rahen sar pe uske ilzaam to hai,uske hathon ki lakiron me mera naam to hai,wo mujhe apna banaye ya na banaye zamane me mere naam se woh badnam to hai
fir wahi fasaana afsaana sunaati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho.
Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,Jaane kya baat hai aap mein,Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya.