Zindgai udaas hone ka naam nahi,,,,,,, Dosti sirf paas hone ka naam nahi, Agar tum door reh kar bhi hame yaad rakho,,,,,,, is se badkar hame koi enaam nahi
Apki dosti ko ahsaan mante hai, ise nibhana apna iman mante hai, lekin ham vo nahi jo dosti me apni jaan de denge, kayoki dosto ko hi to ham apni jaan mante hai
Woh Yaro ki Mehfil"Woh Muskrate Pal" Aaj juda hai hamse"apna bita hua kal" Kabhi zindgi guzrti thi hasne hasane Me" AaJ waqt guzrta hai KAGAZ KE NOTE KAMANE ME
Zamaana gujar gaya haathon ko milaye hue, Muddat ho gayi nazaron ko milaye hue, Din raat nikal gaye yaadon me khoye hue, Ab kab samane aaoge yaar muskurate hue?
Kya zamaana tha,hum roz mila karte the; raat bhar chaand ke humraaz fira karte the.. Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....
Pehle kabhi ye yadein ye tanhai na thi,Kabhi dil pe madhoshi chaei na thi,Jane kya asar kar gai apki baatein,warna Istarah kabhi yaad kisi ki aatee na thi
App ko pata hai ke duniya ki sub say khubsurat cheez daikhi nahi jati, mehsoos ki jati hai,jesay hawa ka jonka, shehd ki mithaas, jaisay phoolon ki hushboo, jaisay payar, Jantey ho sub say khubsurat ihsas kya hai, Aap ka Sath.