Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi... Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi.. Tu bhi jaan le mere dost... Dosti dil me hoti hai.. dikhaweme nahi...
Armano ki sej par dosti ne karwat li hai.Apke dost ne apko ye kasam di hai.Juda ho k bhi juda na hona.Warna log kahenge,Ek dil ne dhadkan Ki jaan li hai.
Jitni dosti payi hai aap se usse zyada pane ko dil chahta hai, jane woh kaun si khubi hai aap me ki apko har janam me apna dost banane ko dil chahta hai.
Dua hai rab se kabhi aapko dard ka ehsaas na de. Pal koi aisa na guzre, jab mushkilo me hum saath na de. Kisi saans me hum aapko bhule, rab hume aisi saans na de.