U toh bahutse jaltey hai par Kundan kaun yaha ban pata,Dube to lakho hai par Moti kiske haatho ata,Sagar ka nimantran hai mujko per lahero ko sweekar nhi,Jivan to apna hai Lekin Sapno per adhikar nhi.
kabhi kuch na kehkar bhi,sab keh jata hai ye dil,kabhi chup rehkar bhi har dard seh jata hai ye dil,dil ki aahein to aaj tak hum bhi na samajh paaye ,gumon k andhere me bhi khud jalkar roshini kar jata hai ,,,,,,,,,,,,ye dil